Thursday, February 1, 2007

Parents

kya bolu main aapko
kaise ye batau
baatein jo dil main hai
kaise unhe jatau

dekha jo maine pas
ke hi ek aangan main
dadi ke liye jagah nahi thi
pure ghar ke prangan main

itna bada sa ghar tha woh
par dadi nahi samati thi
dadi ki khansi se gudiya ki
padhai disturb ho jati thi

chillata unpe khud ka pota
dadi ne kiya samjhota
man main socha kya ye sab sehti
gar mera suhaag zinda hota,

bade pyar se sambhala bete ko
jag kar ke din aur raat,
us bete ko fursat nahi hai
kar le aakar ke do baat,

sab dukh sehti, kuch na kehti
roti thi woh bas din raat,
roz puchti thi dadaji se
kyu nahi le gaye apne sath

gar sath dadi ko wo le jate
to kya inke bachhe ye sab kar pate
main khada soch raha tha,
in logo ke bare main,

ek woh aur ek main hu
kitna antar dono main
jiske pas dadi hai unse
kitna tiraskar mila

main ye likhta hu jisko
kabhi na dadi ka pyar mila

(ji ha dosto mere janam se pehle hi mere dada aur dadi ka swargwas ho gaya tha, lekin ye sab jo likha hai woh maine hamare ghar ke pas hi ke ghar main dekha hai. kuch logon ko jo milta hai woh uska samman nahi karte aur jo log samman karna chahte hai unko woh milta hi nahi hai)

ab bhi der nahi hui hai
unko bhi tum karlo pyar
unko apna ghoda banalo
nahi chahiye unhe motorcar

khoob milega, dher lagega
itna tumhe milega pyar
bas dil se ik bar dada dadi ko
dekar dekho ek pukar

bas dil se ik bar dada dadi ko
dekar dekho ek pukar
------------------------------
KUSH

2 comments:

वो बात कह ही दी जानी चाहिए कि जिसका कहा जाना मुकरर्र है..