Thursday, February 1, 2007

beete din

jab bhi udas hota tha
main maa ki gaud main sota tha
lori sunati thi jo maa
usme kitna apnapan hota tha

papa ki ik ik phatkar
main bhi chhupa tha pyar
dadi maa ke kisan kanheya
dadi ke teej aur tyohaar

dada ji ka ghoda ban na
mera dulha bankar tan na
chhoti ban jati thi dadi
gudde aur gudiyo ki shadi

chachaji ka sham ko aana
dhero fal aur sabji lana
chachi sab bachho ko bulati
sare fal aur ladoo khilati

lekin jab main bada ho gaya
jane papa ko kya ho gaya
meri shadi ki thi jaldi
chhoti ke bhi maldi haldi

mera call letter aa gaya
chhod gao main sehar aa gaya
chhota woh mera galiyaara
jeevan main faila andhiyaara

kaha kho gayi wo maa ki lori
dur karo na papa meri kamjori
dada ghoda tum ban jao
phir se mujhe dulha banao

chhoti ki gum ho gayi aazadi
ab nahi hoti gudiyan ki shaadi
chachi ka pyar aur chachaji ke fal
kya fir se aayega mera woh kal

koi mujhko jeevan lauta do
mera woh kal phir lauta do

mera woh kal phir lauta do..

-KUSH

1 comment:

वो बात कह ही दी जानी चाहिए कि जिसका कहा जाना मुकरर्र है..