Friday, February 9, 2007

Do not stand at my grave.........

Do not stand at my grave and weep:


I am not there. I do not sleep.

I am a thousand winds that blow.
I am the softly falling snow,
I am the gentle showers of rain,
I am the field of ripening grain.

I am in the morning hush,
I am in the grateful rush
Of beautiful birds in circling flight.
I am the starshine of the night.

I am in the flowers that bloom.
I am in a quiet room.
I am in the birds that sing.
I am in each lovely thing.

So do not stand by my grave and cry.
I am not there.
I did not die.


----------------------------

Saturday, February 3, 2007

"Adhura Prem Patra"


priye,

dil ki dhadkano ko hatho main tham kar kalam uthane ki jehmat ki hai, naam tumhara hi likhegi, kalam bhi zid par ad aayi hai, kaise samjhau bawari kalam ko, sawan abhi aaya nahi hai, janti hu lekin ye kalam bhi tumhari hi di hui hai, manegi thode hi, ab kehti hai ki pucho mere sarkar se kaise hai woh, kya yaad unhe bhi hamari aati hai jab dekhte hai raat main chamakte chand ko, kya woh bhi dekh kar khud ko aaine main baate karte hai, kya unka bhi man karta hai par laga ke ud jaye mast gagan main, kya khilte hue phoolo ki khushbhu unhe bhi mehkati hogi, kya akele main unhe bhi meri yaad aati hogi, nahi pata ye sab is kalmuhi kalam ko sab janna hai ise aaj hi, sab ye janegi, bina likhe khat sajan ko ab ye nahi manegi,
raat ko kal aaundhe muh bister par lete hue achanak se unka khyaal aa gaya, kya woh bhi sochte honge abhi mere bare main, ekdum se man main sawal aa gaya, kya kahungi, kaise kahungi jab pehli baar milungi unse, gar mud gaye andekha karke to kaise unhe pukarungi, lipat jaungi unse aur puchungi main, ki kyo itna mujhko tadpaya, kya ik pal na aayi yaad tumhe, kya ikpal bhi mera khyaal na aaya, bol ke aisa unse jhhot-mooth main rooth jaungi, kan pakadke manayenge to phir jaldi se man jaungi, aankho main aansu honge lekin honge khushi ke, gam ke aansuo ko wahi par dafna dungi, aur kahungi unse mujhko kas ke gale lagalo ab mujhko kahi nahi jana hai, tum apne hi sath le chalo ye ghar nahi suhana hai, yaha par kai bister pade hai,jane kaise kaise log khade hai, roz mujhe sui chubhate hai, shakkar ki bottle chadate hai, mujhe yaha nahi ab rehna mujhko aakar le jao na, kyu itna bulane par bhi tum lene nahi aate ho, sab kehte hai main mar jaungi, sirf do din bache hai us main hi sab karna hoga, maut aa jaye mujhe lene us se pehle tum aajao, gaud main maru main sirf tumhari bas itna sa tum kar jao, janti to hu ke tumhe ye khat milega nahi par phir bhi likhti jaungi,rakh kar khat ko sirhaane apne main bhi wahi so jaungi...........................
tumhari

parda

sattar millimeter ka parda
jaise ho gaya tha uska apna
is parde par ek din dikhna
uska tha bas yahi ek sapna

bister main jab bhi wo jati thi
yahi khwaab sajati thi
mujhko dunia par chhna hai
khoob naam kamana hai

ek raat ko kismat jaagi
mar chhlang wo ghar se bhagi
chhod ke panghat ki wo ghagri
aa pahunchi wo mumbai nagri

lekin kahi par kaam na mila
ek pal bhi aaram na mila
lekin man main thani thi
khud ki laaz bachani thi

saabit karna tha usko
hai woh kiski santaan
ban na hai usko sitara
sochke pahunchi filmistan

mahesh bhatt ne dekha usko
aur contract sign ho gaya,
kal tak tha jo bigda bigda
aaj carrier fine ho gaya,

koi na phir samjha kuch bhi
ho gaya kaise sab itni jaldi
gaon gaon aur sehar main
uski hi bas filmain chalti

sab the hairat main aur pareshaan
itne jaldi kaise ho gaya uska naam
baat bas zara si hai
samajh sako to samjhna pyare

raato raat hi woh kaise chha gayi
kaise har ik ke man ko bha gayi
jyada to woh kya kar sakti thi
kaam bas ik yahi wo kar payi

ki parde main rakhne ki jo chhez thi,
parde par hi woh dikhla gayi........

ki parde main rakhne ki jo chhez thi,
parde par hi woh dikhla gayi.........

Thursday, February 1, 2007

Bhookh














teen din hue khatiya pakde
ramdin ko hai bukhar jakde
majdoori pe ja nahi pata hai
majboori pe taras aata hai

beti ki aankho ke sapney
bech diye sab uske gehne
khane ko kuch bhi nahi hai
bas ik roti aur dahi hai

markar bhi hai wo zinda
saanse bach gayi hai chuninda
kaise kat ti saanso ko roke
betha hai khud ko bhatti main jhonke,

maa ne bachho ko khana dala
har ek ka bhojan ek niwala
ek ek niwale main sab ke
pet bhar jate hai,

bapu hai beemar inka
bachhe bhi sab samjh jate hai
dekh k inko, ramdin ko taras aata hai
chhod k khatiya ekdum se woh uth jata hai

jharjhar kandhe,pichki aankhein
bahut bura hai uska haal
maili bandi,maili dhoti main
chala ja raha nar kankal,

raah bich pahunch kar usko
ik chkkar sa aata hai
palak jhapkte hai usko sara
sahar dhrashayi dikh jata hai

kya unchi imarat
aur kya unche ped bade
chho gaye jameen ko jo the kal
aasman ko chhokar kahde

log bag bhage yaha waha phir
phaili kaisi ha ha kar
aurat bachhe aur parinde
sabki kaisi ye chitkaar

ramdin ko kuch samjh na aaya
jane pal main ye kya ho gaya
khada tha abhi sahar yaha pe
pal bhar main hi wo so gaya

badh gayi phir uski saanse
dekhi jo sadak par usne lashe
majdoori ki aas hai tooti
uski to jaise kismat phooti

pucha usne rok kisi ko
bhai ye sab kya ho gaya
batalaya kisi ne bhookamp hai ye
sab kuch yaha tabaah ho gaya

ab kya hoga mera
khada ramdin soch raha tha
bachho ki bhookh ka gidh
jaise use nonch raha tha

itne main dekha usne
lal rang ki ek gaadi aayi
khane k bandal aa gaye
kisi ne phir aawaz lagayi

ramdin ekdum se jaaga
chhod fawada phir wo bhaga
badi mushkil se pahunch paya
cheer bheed ko bandal laya

tez kadmo se bhaga ghar ko
khud ki koi sudh na rahi
darwaaze pe pareshaan
patni uski raah dekh rahi

bachhe sab bhag ke aaye
bapu kya tum khana laye?
bapu ne nikala jhola
khane ka phir bandal khola

sab ne milkar roti khayi
ramdin ki aankh bhar aayi
bhagwaan ki taraf dekha usne
aur dhnyawad de diya

gar aaj ye bhookamp na aata
to mera pariwar bhookha mar jata

gar aaj ye bhookamp na aata
to mera pariwar bhookha mar jata

-KUSH

prostitution

liye hath main gulab
chale hai aaj janab
mohalle main khoob inki shaan hai
hath main chhadi aur muh main pan hai

tez tez kadmo se chale ja rahe hai
man main armaan khile ja rahe hai
aaj to biwi gayi hai maike,
beti der se aayegi bachho ko padhaike,

aaj to khoob maja aavega,
budhape par jawaani ka nasha chhavega,
ghar se dur jo chowk aata hai,
wahi par janab ka dil khil jata hai,

rani,champa jane kya kya naam hai,
lekin naam se bhala inko kya kaam hai,
dekhna inhe to bas yahi hai,
ki kiske kitne yaha daam hai,

langdi bhua ne aawaz lagayi,
ladkiyo ki toli bulwaai,
dekh kar ladkiyo ki toli,
budhhe ne phir jeb tatoli,

gidh si usne nazar ghumayi
ek bhi par pasand na aayi,
bhua ne bhi haar na mani
budhhe ki bhi nabaz pehchaani,

kaha rupaye dugne dene honge
naya mal ek aaya hai,
apne hi mohlle ka hai,
doodh se use nahalya hai,

sun ke baat bhua ki
budhhe ki aankho main chamak aa gayi
ghusa jakar ke kamre main to
payal ki usko khanak bha gayi,

darwaze par lagayi kundi
ja pahuncha wo bister par
bola dikha de mukda tu,
chehre par na tu ghunghta dhar,

lekar note sau ka hath main
usne jab ghunghat hataya,
ruk gayi saans seene ki
jab samne beti ko paya,

ruk gayi saans seene ki
jab samne beti ko paya,


-KUSH

Happy New Year

wada nahi kiya kisi se
khud ne hi ye thana hai
is nav-varsh main mujhe
til bhar burai mitana hai

til bhar burai gar mai mita lu
til bhar gar ab tum mita lo,
dekhenge sab milkar ye
burai ka kahi nishan na hoga

tum main aur ye dunia janegi
bharat sabse uper hoga,
nanhe hathon se kalam chalegi
boodhe hathon par zakhm na hoga

dusro ko badlne se pehle
khudko hi badalna hoga,
main aachha hu to sab aachhe
kyu phir koi bura jo hoga

bhagwa bane na hara hum bane
kyu phir koi lahu ka nishaan hoga
insaan ban jayenge sab, nahi
fark pooja aur ajaan main hoga

tera mera nahi hai ab kuch
jo bhi hai woh apna hai hai
is nav-varsh par dekha
kush ne ye sapna hai

-KUSH

Parents

kya bolu main aapko
kaise ye batau
baatein jo dil main hai
kaise unhe jatau

dekha jo maine pas
ke hi ek aangan main
dadi ke liye jagah nahi thi
pure ghar ke prangan main

itna bada sa ghar tha woh
par dadi nahi samati thi
dadi ki khansi se gudiya ki
padhai disturb ho jati thi

chillata unpe khud ka pota
dadi ne kiya samjhota
man main socha kya ye sab sehti
gar mera suhaag zinda hota,

bade pyar se sambhala bete ko
jag kar ke din aur raat,
us bete ko fursat nahi hai
kar le aakar ke do baat,

sab dukh sehti, kuch na kehti
roti thi woh bas din raat,
roz puchti thi dadaji se
kyu nahi le gaye apne sath

gar sath dadi ko wo le jate
to kya inke bachhe ye sab kar pate
main khada soch raha tha,
in logo ke bare main,

ek woh aur ek main hu
kitna antar dono main
jiske pas dadi hai unse
kitna tiraskar mila

main ye likhta hu jisko
kabhi na dadi ka pyar mila

(ji ha dosto mere janam se pehle hi mere dada aur dadi ka swargwas ho gaya tha, lekin ye sab jo likha hai woh maine hamare ghar ke pas hi ke ghar main dekha hai. kuch logon ko jo milta hai woh uska samman nahi karte aur jo log samman karna chahte hai unko woh milta hi nahi hai)

ab bhi der nahi hui hai
unko bhi tum karlo pyar
unko apna ghoda banalo
nahi chahiye unhe motorcar

khoob milega, dher lagega
itna tumhe milega pyar
bas dil se ik bar dada dadi ko
dekar dekho ek pukar

bas dil se ik bar dada dadi ko
dekar dekho ek pukar
------------------------------
KUSH

beete din

jab bhi udas hota tha
main maa ki gaud main sota tha
lori sunati thi jo maa
usme kitna apnapan hota tha

papa ki ik ik phatkar
main bhi chhupa tha pyar
dadi maa ke kisan kanheya
dadi ke teej aur tyohaar

dada ji ka ghoda ban na
mera dulha bankar tan na
chhoti ban jati thi dadi
gudde aur gudiyo ki shadi

chachaji ka sham ko aana
dhero fal aur sabji lana
chachi sab bachho ko bulati
sare fal aur ladoo khilati

lekin jab main bada ho gaya
jane papa ko kya ho gaya
meri shadi ki thi jaldi
chhoti ke bhi maldi haldi

mera call letter aa gaya
chhod gao main sehar aa gaya
chhota woh mera galiyaara
jeevan main faila andhiyaara

kaha kho gayi wo maa ki lori
dur karo na papa meri kamjori
dada ghoda tum ban jao
phir se mujhe dulha banao

chhoti ki gum ho gayi aazadi
ab nahi hoti gudiyan ki shaadi
chachi ka pyar aur chachaji ke fal
kya fir se aayega mera woh kal

koi mujhko jeevan lauta do
mera woh kal phir lauta do

mera woh kal phir lauta do..

-KUSH

Babuji

uth jayiye babuji
kab tak soye rahenge
subah ho gayi hai ek nayi
kab tak purani baton main
khoye rahenge,

ab mujhe jana hai sehar
phir se, ticket bhi le aaya hu
aap uth jaye to pao choo lu
maaji ke chhokar aaya hu,

bachho ki bhi chhutiya khatm hui
unko bhi hostel jana padega
kuch din meena ko uske mmayeke
chhodne ka wada nibhana padega

aap apna aur maa ka khyaal rakhna
main paise bhijwa dunga,
report sath le ja raha hu aapki
samay mila to docter ko dikhwa dunga

aachha babuji aashirwad dedo
ab chalna padega
aapse dur jane ka gam to hai
par kya kare nigalna padega

aansu tham nahi rahe hai
meri toh in aankho se,
lag rahein hai aangan ke ped
mujhe to salaakhon se,

uth jayiye ab babuji, itne
saalo baad to aaya hu,
aapke liye naya chasma,
aur nayi chhadi laya hu

agli bar jab gaon aaunga
aapko bhi sath le jaunga
kya hua babuji,aap kuch
bolte kyon nahi,
babuji ! babu ji ! babu ji!

--------------------------------

Main Danga HU

main danga hu
ha main danga hu
beech sadak,
bhare bazaar,
utar diye kapde mere
kuch hare kuch kesariya the
kuch gaon ke kuch sahariya the

main chup dekh raha
tamasah bhi hu
aur tamashbeen bhi
main bura hu, ek gaali hu
ha main danga hu

main kaha se aaya
kaun mujhe laya
lawaris hu main
hu main kiska jaya
soch raha hu main,

kuch bure logo
ne paida kiya mujhe
dekho ek baar khud ko
hu main tumhara saya

ha main danga hu
sharm aati hai mujhe
beech sadak, bhare baazar
main nanga hu
ha main danga hu

ha main danga hu...
----------------------------

-Kush