Saturday, February 3, 2007

"Adhura Prem Patra"


priye,

dil ki dhadkano ko hatho main tham kar kalam uthane ki jehmat ki hai, naam tumhara hi likhegi, kalam bhi zid par ad aayi hai, kaise samjhau bawari kalam ko, sawan abhi aaya nahi hai, janti hu lekin ye kalam bhi tumhari hi di hui hai, manegi thode hi, ab kehti hai ki pucho mere sarkar se kaise hai woh, kya yaad unhe bhi hamari aati hai jab dekhte hai raat main chamakte chand ko, kya woh bhi dekh kar khud ko aaine main baate karte hai, kya unka bhi man karta hai par laga ke ud jaye mast gagan main, kya khilte hue phoolo ki khushbhu unhe bhi mehkati hogi, kya akele main unhe bhi meri yaad aati hogi, nahi pata ye sab is kalmuhi kalam ko sab janna hai ise aaj hi, sab ye janegi, bina likhe khat sajan ko ab ye nahi manegi,
raat ko kal aaundhe muh bister par lete hue achanak se unka khyaal aa gaya, kya woh bhi sochte honge abhi mere bare main, ekdum se man main sawal aa gaya, kya kahungi, kaise kahungi jab pehli baar milungi unse, gar mud gaye andekha karke to kaise unhe pukarungi, lipat jaungi unse aur puchungi main, ki kyo itna mujhko tadpaya, kya ik pal na aayi yaad tumhe, kya ikpal bhi mera khyaal na aaya, bol ke aisa unse jhhot-mooth main rooth jaungi, kan pakadke manayenge to phir jaldi se man jaungi, aankho main aansu honge lekin honge khushi ke, gam ke aansuo ko wahi par dafna dungi, aur kahungi unse mujhko kas ke gale lagalo ab mujhko kahi nahi jana hai, tum apne hi sath le chalo ye ghar nahi suhana hai, yaha par kai bister pade hai,jane kaise kaise log khade hai, roz mujhe sui chubhate hai, shakkar ki bottle chadate hai, mujhe yaha nahi ab rehna mujhko aakar le jao na, kyu itna bulane par bhi tum lene nahi aate ho, sab kehte hai main mar jaungi, sirf do din bache hai us main hi sab karna hoga, maut aa jaye mujhe lene us se pehle tum aajao, gaud main maru main sirf tumhari bas itna sa tum kar jao, janti to hu ke tumhe ye khat milega nahi par phir bhi likhti jaungi,rakh kar khat ko sirhaane apne main bhi wahi so jaungi...........................
tumhari

2 comments:

  1. In this world
    Where desire rules the heart,
    You will discover
    Love is the Flame that lights up the soul.

    ReplyDelete

वो बात कह ही दी जानी चाहिए कि जिसका कहा जाना मुकरर्र है..