Thursday, May 17, 2007

laut ke aaya vaha

tere sang jo har lamha maine jiya tha
apni khushiyo ko bhi maine tujhko diya tha
na chahte the koi bhi sath tera mujhe mile
lekin bharosa maine tujhpar hi kiya tha,
tumne na mani baat mujhko samjha diya,
phir bhi raah dekhta mera jalta diya tha
tum to na lauti zindagi main meri magar,main
laut ke aaya vaha; jahase shuru kiya tha.

No comments:

Post a Comment

वो बात कह ही दी जानी चाहिए कि जिसका कहा जाना मुकरर्र है..