sattar millimeter ka parda
jaise ho gaya tha uska apna
is parde par ek din dikhna
uska tha bas yahi ek sapna
bister main jab bhi wo jati thi
yahi khwaab sajati thi
mujhko dunia par chhna hai
khoob naam kamana hai
ek raat ko kismat jaagi
mar chhlang wo ghar se bhagi
chhod ke panghat ki wo ghagri
aa pahunchi wo mumbai nagri
lekin kahi par kaam na mila
ek pal bhi aaram na mila
lekin man main thani thi
khud ki laaz bachani thi
saabit karna tha usko
hai woh kiski santaan
ban na hai usko sitara
sochke pahunchi filmistan
mahesh bhatt ne dekha usko
aur contract sign ho gaya,
kal tak tha jo bigda bigda
aaj carrier fine ho gaya,
koi na phir samjha kuch bhi
ho gaya kaise sab itni jaldi
gaon gaon aur sehar main
uski hi bas filmain chalti
sab the hairat main aur pareshaan
itne jaldi kaise ho gaya uska naam
baat bas zara si hai
samajh sako to samjhna pyare
raato raat hi woh kaise chha gayi
kaise har ik ke man ko bha gayi
jyada to woh kya kar sakti thi
kaam bas ik yahi wo kar payi
ki parde main rakhne ki jo chhez thi,
parde par hi woh dikhla gayi........
ki parde main rakhne ki jo chhez thi,
parde par hi woh dikhla gayi.........
No comments:
Post a Comment
वो बात कह ही दी जानी चाहिए कि जिसका कहा जाना मुकरर्र है..