wada nahi kiya kisi se
khud ne hi ye thana hai
is nav-varsh main mujhe
til bhar burai mitana hai
til bhar burai gar mai mita lu
til bhar gar ab tum mita lo,
dekhenge sab milkar ye
burai ka kahi nishan na hoga
tum main aur ye dunia janegi
bharat sabse uper hoga,
nanhe hathon se kalam chalegi
boodhe hathon par zakhm na hoga
dusro ko badlne se pehle
khudko hi badalna hoga,
main aachha hu to sab aachhe
kyu phir koi bura jo hoga
bhagwa bane na hara hum bane
kyu phir koi lahu ka nishaan hoga
insaan ban jayenge sab, nahi
fark pooja aur ajaan main hoga
tera mera nahi hai ab kuch
jo bhi hai woh apna hai hai
is nav-varsh par dekha
kush ne ye sapna hai
-KUSH
No comments:
Post a Comment
वो बात कह ही दी जानी चाहिए कि जिसका कहा जाना मुकरर्र है..